Monday, July 27, 2020

Waqt ke faasle

Ungliyon ke beech ret ki tarah
ye waqt na jaane kab guzra
Palkein jhapkai aur pal mein jaise
sadiyon ka faasla ho chala

Ghadi ke berukh chaal ne yun
aaj dil ke panne palte hai
Andheron ne ajj phir yun
teri parchaai ko rubaru kiya

Kai saal ho gaye na....
tujhko aankho mein bhare huye
Kai mukaam beet gaye
zindagi ki rasm ada karte

Ab madhosh hai hum 
ya hosh aaya hai aaj
Is baat se hum anjaan sahi

Jaante hai aaj toh bas itna ki
Iss raat mein lipti teri yaad aayi hai...

Sunday, February 17, 2019

Sabr

Ek saaz-e-khwaab hai, khushboo sa madhosh,
Jo dhun sa bankar, hawaon mein samata hai

Ek chirag hai, dil ke kone mein roshan
Jo mere andhero mein bhi,  sukun ban bas jata hai

Ek awaaz hai, vadiyon ki aagosh mein
Jo ruk ruk kar yun, mera naam pukarti hai

Ek suroor hai, rooh mein kahi chuppa
Jo tere wajood ke dum par, har baar mehek jata hai

Aur ek yakeen hai, hosh ke pare
Jo aksar yeh eitbaar dilata hai...

Yeh bhram nahi, justju nahi.....
Bas tere sabr ka imtehaan hai....

Sunday, January 27, 2019

Kaandhe ka nishaan

Dhundhlaye se ek khwaab se zyada,
teri zindagi mein jagah kuchh aur nahi
Kuchh pal ki iss ashiqui se zyada,
tujhse rishtaa toh kuchh aur nahi

Tufan mein udte patte jaisa,
humari karibiyon ka ik harf hai.
Subah ki oons ki boondon mein basa,
ik chand lamhon ki dhanak hai.

Koi tasveer baarish mein chhoti ho jaise,
un bikharte rango sa nata hai yeh.
meri zindagi mein tera suroor,
teri zindagi mein mera wajood,

Tere kandhe pe mit-te nishhan se jayada,
kuchh aur nahi.
Bas....
kuchh aur nahi

Tuesday, December 4, 2018

Taseer Teri

Tu kabhi jharne sa chanchal
kabhi dariya sa theher jaata hai
Teri fitrat mein kuchh jaise
paani sa nazar aata hai

Roshni mein tu roshan
aankhon mein ek sitara
Kabhi seene mein andhere chhupaye
sagar ka tu kinara

Tu kabhi athkheliya karta
bebak  chala jaata hai
Kabhi khamoshiyo ko samet
chup chaap hi ruk jaata hai

Tu kabhi jheel ka aaina
kabhi aab-e-shaar sa
Kabhi baarish ki boondein
Kabhi lehron ki awaaz sa

Tu hai toh zindagi haseen
tujh bin sab bewajah samajh aata hai
Teri fitrat mein jaise kuchh
paani sa nazar aata hai

Tuesday, October 9, 2018

Khwaab

Kuchh toh hai tujhme zaroor
Ki yun dil mein tune ghar kar diya
Ek nazar bhi dekha nahi jisko
Waqt ne uska muntazar kar diya

Tasvereon mein dekhi halki si muskaan
Jisne pal phar mein tera kayal kar diya
Awaaz mein ek tehraav si gehraayi
ki khud ko mujhse bekhabar kar diya

Khauf hai tu kahi khwaab toh nahi
Jo jaadoo sa mujhpe asar kar diya
Bin mile, bin jaane yun kaise
Tujhko bas mera rehbar kar diya

Kuchh toh hai tujhme zaroor
Ki yun dil mein tune ghar kar diya
Ek nazar bhi dekha nahi jisko
Waqt ne uska muntazar kar diya

Wednesday, July 4, 2018

Ummeed

Misr ki ret mein
Behte jahaaj sa...
Tu kabhi haqueekat
Kabhi khwaab sa..

Sulagte registaan mein
Tu ek Jazeera
Sheher bhar ajnabiyon mein
Ek tu hi mera..

Kabhi tu sukoon
Kabhi gumaan sa..
Tu kabhi haqueekat
Kabhi khwaab sa..

Mere andhere mein roshan
Ek jalta chiraag tu..
Meri tanha shaamon ka
Khamosh gawah tu...

Kabhi hoton ki hassi
Kabhi aankho ki aab sa
Tu kabhi haqueekat
Kabhi khwaab sa..

Sunday, August 19, 2012

gimme a title pls......


Kuchh toh hai dil mein samaya sa hua,
Main chahun bhi toh zubaan pe aata hi nahi,
Kalam bhi likh nahi paayi ek khwaab,
Palkon se who aankho mein aata hi nahi.

Ek chehra hai aaine mein chhupta hua,
Main bulaun toh who nazrein milata hi nahi,
Hya ke pardon mein lipta, khamosh sa,
Who mujhe jaise kuchh kehna chahta hi nahi.

Ek dua hai dil mein sehmi si hui,
Who khuda jaise ise sunna chahta hi nahi,
Mera aks bhi hai mujhse sawal karta,
Who kya hai jo bhulaye bhulata hi nahi.